How To PhonePe Cashback Money Withdraw In Bank Account
Hey, Friends Namaskar!
Aap sabhi ka hamare blog me bahot-bahot swagat hai.
Kaise hai aap sabhi? Main aasha karta hoon aap sabhi bahot achhe se honge.
Jaisa ki aap sabko pata hi hoga ki Apni India Dhire-Dhire digital India ho rahi hai jo ki bahot achhi baat hai aur Hamare India ko Digital banane me Sir ‘Narenda Modi’ jo ki hamare Country ke Prime Minister hai unka bahot bada yogdan hai.
Esi India ko Digital banane ki ek kadi me Hamare dekh ke Prime Minister ne ek baar ‘Demonetisation’ Kiya aur uske baad Hamare desh mein paiso ki len-den me bahot problem hone lagi thi esi Bich Ek Company Aaya Jo ki hame Paiso ki len-den me bahot madad kiya.
Us company ka naam to aapne suna hi hoga jo ki Mobile App aur Website ke through kaam karta hai, Jiska naam ‘Paytm’ hai.
Es Paytm ne hame aur hamare desh ko Digital Len-den me bahot aage le gaya.
Paytm ko sabse bada fayda tab huaa jab India me Demonetisation kiya gya.
Demonetisation se pehle es Company ka naam aur eska App ke bare me bahot kam log jante the.
Lekin khuda na khaste us samay es aap ka pata nhi kismat kya thi jo etna popular huaa ki Aaj India ka no1 Wallet company bana huaa hai.
Jisse esko bahot fayde huye aur ye aaj Apna khud ka Payments Bank khol rakha hai.
Matlab saaf hai ki Eski us wakt bahot moti rakam kamayi huyi hai.
Esi ko dekhte huye India me bahot sare Wallet Company aaye aur apna apna Wallet india ko Digitally banne ke liye diye.
Jo es Prakar hai:-
1.Paytm
2.Mobikwik
3.Freecharge
4.PhonePe
5.Oxigen
6.Airtel Money
7.Idea Money
8.Vodafone m-pesa
9.Jio Money
10.Ola Money
Etc.
But enme Sabse jyada Popular Paytm raha kyu ki Paytm ki app me bahot sare features hai jiske Through hum Train,Flight,Bus,Recharge,Movie,Fees,etc.
Chize ko book karne me use kar sakte hai aur karte bhi hai jiski wajah se jyada popular bana.
Paytm ke through hum kisi bhi Paytm user ko Ya Kisi bhi Bank account me paise bhej sakte hai.
But esme 100Rs ka 4% Charge lagta hai jo ki grahako ke liye bahot badi problem hai aakhir ho bhi kyu naa jo bina wajah ke hamare hi paiso ka 4% Paytm wale cut kar rhe hai.
”PhonePe”
Esi ko dekhte huye aur eski kami ko develop karte huye Hamare Indian market me ek aur App aaya Jiska naam ‘PhonePe’ hai.
Jo ki paiso ki len-den me Paytm se bahot achha hai but Paytm jitni eske pass facility nhi hai.
Jiski wajah se A Paytm se thoda sa piche hai aur ham umeed karte hai ki a Paytm se aage nikal jaye but sayad aisa naa ho paye.
PhonePe ki sabse achhi features a hai ki esse kisi bhi PhonePe user ya kisi bhi Upi Handler ya Kisi bhi bank me paisa bhejne ka koi charge nhi leta.
Charge nhi lene ki sabse badi wajah a hai ki a Upi basis par kaam karta hai.
Aur jaisa ki aapko pata hi hoga ki Upi basis payment government ki taraf se free hai.
Samay ke saath PhonePe ne bhi bahot sare badlaw kar diye apne Apps me but pehle starting me sab sahi tha.
Thode din baad jab PhonePe market me chalne laga tab esne Paise stock rakhne wale features ko 2 part me kar diya.
1.Wallet Balance.
2.Cashback Balance.
Wallet balance wo hota hai jise ham apne bank me bina koi rukawat ke transfer kar sakte hai.
But cashback balance ko ham apne bank me transfer nhi kar sakte hai.
Jo ki bahot hi galat baat hai unhone aisa kiya.
Esi kadi me maine PhonePe se cashback milne wala money ko Bank mein Withdraw karne ka ek tarika dhundha hai but esme aapka 100 Rs mein 7 Rs cut hoga.
To a hai Simple sa Process:-
1. Esme aapko us merchant se milna hai jo PhonePe accept karta hai.
Milne ke baad aap use boliye ki mai aapko 100 Rs pay Karta hoon aap mujhe 100 Ke badle cash de do.
Jaruri nhi ki aap use 100 Rs hi bole a aapke upar depend hai ki aap kitna cashback ko cash me lena chahte hai.
Agar wo aapko cash dene ke liye ready hai to bahot hi achhi baat hai.
Agar wo 100 ka 95 bhi deta hai to aap usse le ligiye.
Boliye usse ki thik hai koi dikkat nhi aap de digiye mujhe 95 Rs hi.
Aur aap es tarike se Cashback wale paise ko withdraw kar sakte hai.
2. Es tarike me aapko kisi ke pass jane ki jarurat nhi hai bas aapko thoda dimag lagana hota hai aur aapko paise aapke Bank Account me sidhe aa jayega.
To sab log ko es baat ko jaanne ki utsukta jarur hogi ki kaise sidhe bank account me aayega.
To a rha process jis tarika se cashback ka amount aapke sidhe bank me aayega.
Sabse pehle aapko PhonePe ka app open karna hai uske baad aapko bank account section me jana hai.
Uske baad add bank account par click karna hai, Aapke pass jo bhi bank hai usse aap select karke add kar de.
Magar aap es baat ko dhyan rakhiye ki aapka PhonePe jis number se bana hai usi no se aapka bank account bhi registered hona chahiye.
Uske baad aapko PhonePe home me jana hai waha aapko PhonePe Gold ka opetion dikhega aap wha click kare then continue kare uske baad aapko buy Gold karna hai jaha aapko aapke capacity ke anusar gold kharidne ka opetion aayega.
Then aapko jitna bhi cashback amount ko Bank me lena hai aap utna ka waha gold buy kariye.
Aur us samay gold buy hone wale payment opetion main PhonePe wallet select ho eska dhyan rakhiye.
Uske baad aap buy gold par click kar digiye.
Then jab aapka gold purchase ho jayega uske baad aapko aapka gold Quantity show kar dega usi section me.
Uske baad aapko sell gold par jana hai uske baad sell gold ka opetion select karna hai.
Then aapko waha aapka amount show karega Rs me jo ki Buy karne wale Dhan rashi se thoda sa kam hoga yani ki usne utna amount cut kar liya hai GST include karke.
Uske baad aapko waha jitna bhi amount show kar rha hai utna aap sell gold wale hisse me type kare.
Uske baad aayega payment receive karne ka opetion to aapko aapka waha bank account dikh jayega jo ki aapne pehle se select kar rakha hai.
Uske baad aapko simply sell gold kar dena hai, phir aapko waha sell gold processing show karega then sucess sell gold show karega.
Then show hoga ki aapka amount aapke bank account me 48 Hr ke andar credit kar diya jayega, but aap uski chinta naa kare wo log utna time nhi lenge bahot jald hi wo amount aapne bank me aa jayega maximum 2 Hr ke andar.
Dosto Bas yahi tha simple sa kuch process jiske through aap PhonePe cashback amount ko apne bank me le sakte hai.
Main aasha karta hoon ki aapko yeh process samjh aa gya hoga.
To please aap ese apne Friends aur Relatives ke saath share kariye aur unko bhi btaeye es process ke bare mein.
Thanks!