Home Government How To Apply Bihar Badh Rahat Yojana Form

How To Apply Bihar Badh Rahat Yojana Form

724
0

Hey Friends Namaskar!

Kaise hai aap sabhi, Main aasha karta hoon aap sabhi bahot achhe se honge.

Dosto aaj hum jaanne wale hain ki How To Apply Bihar Badh Rahat Yojana Form Means Bihar Badh Rahat Yojana Form Ko Kaise Apply Kare.

Dosto sabse pehle toh hum aapke iss dukh ki ghadi mein aapko santawana dena chahenge aur hum aapse yeh request bhi karenge ki aap jitna ho sake apne se iss aapda se bachane ka kosis kare aur apne family aur apne sage sambandhiyo ka khas khyal rakhe.

Dosto chaliye ab hum yeh jaan lete hai ki aakhir bihar badh rahat yojana kya hai aur aapko isse kya labh hoga?

Dosto bihar badh rahat yojana bihar ke Cm Mr. Nitish Kumar ke taraph se yaa yu kahe ki sarkar ke taraph se chalayi jane wali ek rahat kosh yojana hai. Jisse bihar mein rahne wale badh grast elake ke un Pariwaro ko kuch sahayta rashi di jayegi jinka iss aapda ki wajah se Jaan-Maal or kisi bhi tarah ka kuch nuksan huaa ho. Iss rahat kosh yojana mein har ek pariwar ko 6000-6000 Rs ki rashi pradan ki jayegi.

Dosto ab hum jaan lete hai ki bihar ke kaun kaun se District badh ki chapet mein hai?

Dosto badh grast District ki baat kare toh iss samay Samastipur, Sitamarhi, Sheohar, Supaul, Kishanganj, Darbhanga, Muzaffarpur, Gopalganj, Khagaria, Saran, Siwan, Madhubani, Madhepura, Saharsa, East And West Both Champaran badh ki chapet mein hai.

Dosto yadi aap in District mein rahte hai toh ab aap yeh jaan ligiye ki aapko Kis-Kis nuksan ke liye Kitna-Kitna rashi di jayegi?

1. 6000 Rs nakdi harek us pariwar ko jo badh se grast hai.

2. 1800 Rs kapda ke liye.

3. 2000 Rs bartan ke liye.

4. 6800 Rs prati hectare fasal ke liye.

5. 30000 Rs prati Gaay aur Bhaish ke liye.

6. 3000 Rs prati Bakri, Bhed aur Suar ke liye.

7. 25000 Rs prati Ghora/Horse ke liye.

8. 50 Rs prati Murga/Hen ke liye Maximum 5000 Rs.

9. 95100 Rs Kachha-Pakka makan ke liye.

10. 5200 Rs Pakka makan ke liye.

11. 3200 Rs Kachha makan ke liye.

12. 4100 Rs Jhopdi ke liye.

13. 2100 Rs janwaro ke shed ke nuksan ke liye.

Dosto ab aayiye jaan lete hai ki badh sahayta rashi pane ke liye aawedan kaise kare?

Dosto Bihar badh sahayta yojana rashi pane ke liye abhi toh Online aawedan karne ka koi process start nahi huaa hai. Lekin uske liye aapko apne Mukhiya, Panchayat, Ward or Block se milna hoga. Aur unko apna sara Details dena hoga aur aapko yeh batlana hoga ki aapka iss aapda mein Kya-Kya nuksaan huaa hai. Wahi log sarkar ke liye Data/List taiyar kar rahe hain aur wo log jo Data sarkar ko denge uske hisab se sabhi pidit pariwar ko sahayta rashi sarkar ki taraph se pradan ki jayegi.

Bihar Aapda Prabandhan ki official website kya hai?

Official Website = http://www.aapda.bih.nic.in

Sarkar ke paas aapka sara details chale jane ke baad paisa kab tak aur kaise milega?

Dosto sarkar ke paas aapka sara details chale jane ke baad jitna jald ho sakega sarkar aapko rahat rasi dene ka kosis karega/kar rahi hai. Yaha tak ki bahot sare logo ko ab rahat rashi milne bhi lagi hai jinka details sarkar ke paas chala gaya hai. Dosto yeh rahat rashi sidhe aapke Bank Account mein diye jayenge.

Dosto ab aap yeh soch rahe honge ki Bihar Badh Rahat Rashi kewal garib logo ko hi di jayegi jo aarthik rup se kamjor hai or sabki ko?

Ji Nahi, Sarkar ke taraph se aisa koi pravdhan nahi kiya gaya hai. Bulki waise sabhi log jinko bhi iss badh ki wajah se kuch bhi nuksaan huaa hai unko sahayta rashi pradan ki jayegi. Ab yeh baat unpe nirbhar karta hai ki wah lena chahte hai or nahi.

Dosto ab aap yeh soch rahe honge ki yeh Bihar Badh Rahat Kosh yojana ka labh Bihar ke sabhi District mein rahne wale logo ko milega jinka kuch bhi nuksaan huaa hai?

Ji Nahi, Yeh badh rahat kosh yojana sirf unhi District ke liye hai jin District ka name Upar/Above mein mention kiya gaya hai, Baki aap apne District ka name Government Official Website se check karte rahe.

Bihar badh rahat yojana ke tahat koi sujhaw or sikayat kaha par kare?

Dosto yadi aapko kisi bhi tarah ki koi sujhaw or sikayat karni ho toh aap diye gaye in Numbers par baat kar sakte hai. +919476191436, +919431019731

Dosto aakhiri baat ab aap yeh soch rahe honge ki har saal Bihar mein badh aa jati hai jisse hum jaise Aam janta ko bahot sari nuksaan aur pareshaaniyon ka samna karna padta hai toh iske liye hum kya kare?

Dosto iske liye aap sabhi samuh mein ekattha ho kar sarkar se Niwedan/Request kare ki badh ke pani ko rokne ke liye koi accha sa upay kare or accha sa Dam banwaye, Jiske tahat badh ke pani ko roka ja sake. Jisse har saal hone wale nuksaan se hum sabhi log bach sake aur hum apna life sahi se gujar sake.

Dosto, Agar aapko abhi bhi kuch doubt hai or help chahiye toh aap mere se comment karke puch sakte hai main uska jarur reply dunga aur yadi aapko es blog se kuch madad mila ho toh please aap ese apne Friends and Relatives ke saath share kariye taki unki bhi kuch help ho sake.

Thanks!

Previous articleHow To Stop Being Added In Any WhatsApp Group
Next articleBihar Board Intermediate Examination Result

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here